Thursday, July 23, 2009

This was the First Poetry Written by me.....


Mujhe jeena hai us pal ke liye
weh pal jab main kuch karunga
saari dunia mere kadmo main hogi
saara aasmaan main jeet lunga...
Mujhe jeena hai us pal ke liye
weh pal jab main marunga
kitna haseen hoga weh pal
chaar logon ke kandho pe main leta rahunga....
kuch log hasenge meri maut par
kuch ke dilo main main basunga
kitna haseen hoga weh pal jab main marunga.....
Dekhta hu apni tanhai main main khud ko
dekhta hu weh pal jab main khud se dur rahunga
kitna haseen hoga weh pal apna shareer jab main chodunga
kitna haseen hoga weh pal apni dhadkan jab main todunga....
Daikha hai maut ko karib se humne
dekha hai mar kar jeete hue khud ko humne
kitna haseen hoga weh pal khud ke paas rehkar dunia se dur rahunga
kitna haseen hoga weh pal jab main is dunia ko chodunga.....